Waqt Tanziya Poetry

Waqt bhi leta hai Karwaten kesi kesi,,,
Umer itni to nahi thi sabaq jitna seekh liya..

Nahi rehta koi shaks aadhora kisi cheez ke peeche,,
Waqt guzer hi jata hai kuch paa kar kuch khoo kar

Waqt Aane per log Saath kam,,
Or mashorey ziada dete hein..

Suna tha logon se ke waqt badalta hai akser
Mager log bhi badalte hein ye waqt ne bataya Aaj

Fitrat e Aadam main jab muhabbat kam parh jae
Phir chaa ke bhi apnon ke liye waqt nahi milta

Suno sahib
Waqt ki aik aadat boht achi hai
Jesa bhi ho guzar jata hai

Waqt ne mujh se mazrat ki hai
Mere sab se bare khasaare par

To gaya waqt nhi hai ke bhola don tujh ko
To mera haal hai or beet rha hai dil par

Jab tujhe meri chaah thi jana
Bas wohi waqt tha khaara mera

Guzar gaya wo waqt jab hum tumhre talabgar the
Ab zindagi bhi ban jao to hum kabool nhi karen ge

Tum jante ho waqt se nahi banti meri,,
Zid kis liye karte ho kaha na tum mere ho,.

Kuch or waqt chahte the ke sochen tere liye
To ney wo waqt ham ko azmane nahi diya..

Ae bure waqt zara adab se peesh aa
Waqt nahi lagta waqt badalney mein

Kabhi waqt mila to suljhaoon ga teri sab uljhaney
Abhi to khud uljha huwa hun waqt ko samjhney mein..

Udaas zindagi udaas waqt udaas shaam
kitni cheezon per ilzaam lag jata hai ik tere baad

Mana ke buhat qeemti hai waqt tera
Mager hum bhi nayaab hain baar baar nahi milte

Sab hi ache hai nayaab
Bas Khuda bura waqt na laae

Aik gharhi kiya khareed li main ne,,
waqt peeche hi parh giya mere

Tum the to kahin waqt teharta  hi nahi tha
Ab waqt guzerney mein bhi buhat waqt lagta hai..

Yoon Pehnka gaya hun burey waqt har shaks ke hathon,,
Phool pehnke jaate hein jese kushboo ke kam hone per...


Likhna Tanziya Poetry Compitition


Likhna to tha ke kush hun
lekin aanson likhne sey pehle hi gir parhe

Likhna mere mazar pe ye huraf
Makhdoom zindagi ki kuwaish mein mar gaya

Tum apni majbooriyun ke qisse zaror likhna wasahaton se
Jo meri aakhon main jal buji hain wo kuwaishen bhi shumaar karna

Shair likhna mujhe kab aata hai
Dard cheekhen to aashk likhta hun

Kitna mushqil hai muhabbat ki kahani likhna
jese paani se paani pe paani likhna

Laakh kehte rahen zulmat ko zulmat na likhna
Hum ne seekhna hi nahi pyaar ba'ijazat likhna

Tumhari thi shararat mehndi se hatheli pe naam likhna
Or mujhe ruswa kar diya yun hi khelte khelte

Musalsal gham uthane se ye behter hai
Kinara kerne walon sey kinara kar liya jae

Munafqat ka nisaab pharh ker muhabbat ki kitaab likhna
Barha kathan hai khizaan ke mathe pe dastan e gulaab likhna

Ye lafzon ki shararat hai sanbhal kar kuch likhna tum
Muhabbat ik lafz hai lekin akser ye ho bhi jati hai

Alfaz gira dete hein jazbaat ki qeemat
jazbaat ko lafzon main na dala kare koi

Sajae rakhte hein chere pe kushi ki jo kiran,,
Najane rooh mein kitne shagaaf rakhte hein

Kisi betaab aarzoo ki taranh
Aap dharakte hein mere seene mein

Hasil e Zindagi hasraton ke siwa kuch nahi
ye kiya nahi,wo huwa nahi,ye mila nahi wo raha nahi

Jafa jo ishq main hoti hai wo jafa hi nahi,,
Sitam na ho to muhabbat mein koi maza hi nahi

Aey Khuda un ke har lamhe ki hifazat karna
Masoom sa chehra hai udaas ho acha nahi lagta

Bepanah,beqadar,behad,bebas ho ker,,
hum ne tumhen itna chaha ke inteha kar di

Muhabbat lafz hai janaa ye lafzon ki shararat hai
sanbhal ker kuch bhi likhna tum
Muhabbat lafz hai lekin ye akser ho bhi jati hai

Wafa ki laaj main us ko mila lete to acha tha
Anaa ki jang main akser Muhabbat jeet jati hai

Haar jeet Poetry tanziya


Teri Jeet sey ziyada to,,!!
Meri Haar mein Charcha hai..

Sikka Bana ke jab bhi uchala gaya mujhe,,
Mein teri haar jeet mein taqseem ho gya

Sulagti talakh baton sey'Barhe Bedard Hathon sey,,
Lo dekho Haar di tum ney Muhabbat' Maar di tum ney Muhabbat..

Haar jata hai jo Muhabbat mein,,
Dill Wohi kamiyaab hota ha..

Teri jeet se kushi mujh ko,,
Yehi jawab meri Haar ka thaa..

Basate Zaat pe Ajab hai' Shikast e Zaat ka lutf,,
Jahan per jeet atal ho'Wo chaal haar ke dekh..

Muhabbat Haar ke jeena buhat mushqil hota hai,,
Usse bas itna bata dena ke Bharam torha nahi karte..

Ager Dill Haar bethe ho Muhabbat mein mere Hamdam,,
Fana kesi ? Baqa kesi ? Saja kesi ? Jaza kesi..

Wo mera ho kar bhi mera na huwa,,
Koi meri taranh bhi jeet ke haara hoga

Ye Muhabbat aesa munfarid khel hai 
Jo seekh jata hai wo haar jata hai 

Tum sey ye keh kis ney diya ke baazi haar bethe hum,,
Muhabbat mein lotaney ko abhi jaan baaqi hai..

Jane wo kon sey log the jin ke piyar ko piyaar mila,,
Hum ney to jab kaliyaan maangi kaanton ka haar mila

Kuch haar gai taqdeer kuch haar gae sapney
kuch gheron ney kiya barbaad kuch apne chorh gae

Hum umer ka eik saal haar gae
Tum judai ka ik saal jeet gae

Meri chup ko meri haar na samjhna 
mein apne faisley khuda per chorti hun 

Apni har kushi tujh pe waar kar 
Tujhe jeet lon gi mein haar kar

Wajood apna na rooh apni bas ik zindagi hai tamasha hai
Ajab ye chahat ke marhale hain,,Na jeet pae na haar paae

Apne haar mein kitna sakoon tha
us shaks ney gale lagaya jeetne ke baad

Kiya zarori hai hum haar ke jeetein
Ishq ka khel hai baraber bhi to ho sakta hai 

Aa Jao Na Poetry Compitition


Lo main Aakhon pe haath rakhti hun
Tum Aachanak kahin se aa jao na,.

Aa jao gi halat ki zad main kisi din
Ho jae ga maloom khuda hai ke nahi..

Ager hamari ulfat sey tang aao bata dena,,
Hamen nafrat to gawara hai per dikhawey ka piyaar nahi.,

Bharam rakh lo Muhabbat ka wafa ki shaan ban jaao..,,
Hamari jaan le lo ya hamari jaan ban jao,,..

Main ye nahi kehti hamara haal poocha karo,,
Tum khud kis haal main ho bas itna to bata to diya karo,,

Tum Loat Aao to ho jaein Mukammal
Tumhare bin aadhore reh gaye hain ham

Suno tum zidi ho na
Mujhe bhi zid bana lo na

Samait ke le jao apne aadhore wadon ke aadhore qisse
Agli Muhabbat mein phir tumhen in ki zarorat pare gi

Baaz aa jao berukhi se warna
hum jise bhool jate hein to bas bhool jate hein

Shikayaten bhi to sirf usse mere khaloos sey
Ajeeb shaks tha wo meri aadaten na samjh saka

Ishq tha koi qarobaar to na tha
Phir nuksaan huwa to huwa kese

Chahon to phir bhi na mita paaon tera naam dill sey
Mitae wo lafz jate hein jo galti sey likhe hon

Kisi ney dekhni hai qiyamat to aa jao
Suna hai mehfil mein aaj raat to benaqaab aane wale hain

Khud to aate nahi yadon ko bhi na aane diya karo,,
Mujhe sirf tum sey Muhabbat hai yaadon ko yaad sey bata dena

Aa jao na meri qismat main
Chahe rakh lo mera naseeb girvi

Hamesha ke liye apne paas rakh lo na mujhe
koi pooche to keh dena dill hai mera

Wabasta ho gai thi kuch umeedein apse
umeedon ka chiraag bhujhane ka shukriya

Ham ney tum sey maangi thi Muhabbat ki zindagi
Tum  ney to zindagi ko Muhabbat bana diya


Waja Tanziya Compitition


💔 Tumhare Yaad Karne Ki Waja Kiya Samjhon,,💕

💔 Waqt ki Masroofiyat ya Dill ka bhar jana..💕
------------------------------- ðŸ‘±---------------------------------
💔 Yehi to Waja shikast e wafa hui meri,,💕
💔 Khaloos e Ishq main sada dill ki Aameezh.💕
------------------------------ ðŸ‘³ --------------------------------- 
💔 Chup ho kis Waja se Hamen Maloom Nahi,,💕
💔 Dill Doob sa jata hai jab tum yaad nahi karte..💕
 -------------------------------👱--------------------------------- 
💔 Kat hi gai judaai bhi kab ye hua ke mar gae,,💕
💔 Tere bhi Din Guzar gae mere bhi din guzer gae..💕
  -------------------------------👳---------------------------------
💔 Taqdeer Badal jae gi apne ap hi,,💕
💔 Muskarana Seekh le Waja Talaash na kar..💕
 ------------------------------- ðŸ‘±---------------------------------
💔 Tere Taghaful ki Waja hum nahi jante mager!!💕
💔 Zindagi do pal mili hai tere sath jeene ki tamanna ha..💕
------------------------------- ðŸ‘³--------------------------------- 
💔 Nazer Andaz karne ki waja kuch to batate,,💕
💔 Ab kahan kahan khud main burai dhodon..💕
------------------------------- ðŸ‘±--------------------------------- 
💔 Bewaja BeNaam aarzoo ki waja na poochiyen,,💕
💔 Eik ajnabi tha rooh ka dard ban gya..💕
------------------------------- ðŸ‘³--------------------------------- 
💔 Ajeeb sa rishta raha kuch us shaks se,,💕
💔 Na nafrat ki waja mili na Muhabbat ka sabab mila..💕
------------------------------- ðŸ‘±--------------------------------- 
💔 Be'tahasha chahne wale,,💕
💔 Bewaja chorh gae..💕
------------------------------- ðŸ‘³---------------------------------
💔 Wo barhi herani se pooch betha mere gham ki waja,,💕
💔 Pehlhe Halka sa muskaraya phir kaha Muhabbat ki thi na mujh sey..💕
------------------------------- ðŸ‘±--------------------------------- 
💔 Aag lag jae un Majbooriyun ko,,💕
💔 Jin ki waja se hum door huwe💕
------------------------------- ðŸ‘³--------------------------------- 
💔 Be'waja Be'Khabar Berukhi na kiya kar,,💕
💔 Koi toot sa jata hai tera lehja badalte dekh ker..💕
------------------------------- ðŸ‘±--------------------------------- 
💔 Be'waja nahi rota koi Ishq main nayab,,💕
💔 Jise khud sey barh kar chaho wo rulata zaror hai..💕
------------------------------- ðŸ‘³---------------------------------
💔 Kisi ka ziker karne ki koi waja nahi hoti..💕
💔 Jo dill raas hote hein zaban ko rakhss karte hein..💕
------------------------------- ðŸ‘±---------------------------------
💔 Chalo dhonte hain aesi waja jo dill behal jae,,💕
💔 Ager phir bhi na sanbhal paae to kiya tum loat aao ge..💕
------------------------------- ðŸ‘³--------------------------------- 
💔 Waja pooocho ge to umar beet jae gi,,💕
💔 Kaha na zehar lagte ho to bas lagte ho..💕
 ------------------------------- ðŸ‘±--------------------------------- 
💔 Rooh main koi gham haie poshida,,💕
💔 Zindagi bewaja udas nahi hoti hai..💕
------------------------------- ðŸ‘±--------------------------------- 

Fursat Poetry Tanziya Shairiy Compitition



💔 Usse Fursat nahi milti zara sa yaad karne ki,,💕
💔 Usse keh do ham uski yaad mein fursat sey bethe hein..💕
------------------------------- ðŸ‘³---------------------------------
💔 Be'khaber ho meri yaad sey zara soocho to sahi,,💕
💔 Ta'luq Fursat key nahi Tawajh ke Mohtaaj hote hein..💕
------------------------------- ðŸ‘±---------------------------------
💔 Mile Uljhanon sey Fursat to zara Dill sey pooch lena,,💕
💔 Kiya Fursaton mein hi yaad karna Muhabbat hai..💕
------------------------------- ðŸ‘³---------------------------------
💔 Unhen ham yaad aate hein Fursat ke lamhaat mein,💕
💔 per ye bhi sach hai' Unhen Fursat nahi milti..💕
------------------------------- ðŸ‘±---------------------------------
💔 Fursat Qaleel or kahani Taweel hai,,💕
💔 Shikwe to hain Hazar mager jane dijiyen..💕
------------------------------- ðŸ‘³---------------------------------
💔 Hujam-e-Yaraan sey kabhi Fursat mile Nayaab,,💕
💔 Ager samjho munasib to hamen yaad kar lena..💕
------------------------------- ðŸ‘±---------------------------------
💔 Fursat main yaad karna ho to kabhi nahi karna,,💕
💔 Tanha zaror hun mager Fazool nahi..💕
------------------------------- ðŸ‘³---------------------------------
💔 Nahi Fursat yaqeen jaano hamen kuch or karne ki,,💕
💔 Teri yaadein teri batein buhat masrooof rakhti hain..💕
------------------------------- ðŸ‘±---------------------------------
💔 Kisi ke ishq main itna magan hun,,💕
💔 Mujhe marne ki bhi fursat nahi..💕
------------------------------- ðŸ‘³---------------------------------
💔 Mujh ko Fursat nahi milti khud apne ap sey,,💕
💔 Roothne walon se kaho mujhe yaad kam aaya karen.💕
------------------------------- ðŸ‘±---------------------------------
💔 Fursat mile to un ka haal pooch liya karo,,💕
💔 Jin ke seene main dill nahi tum Dharakte ho..💕
------------------------------- ðŸ‘³---------------------------------
💔 Aaj jawaab bhi dene ki Fursat nahi,,💕
💔 Kabhi salam sey pehley Salam kiya karte the..💕
------------------------------- ðŸ‘±---------------------------------
💔 Fursat mile to Parhna mujhe zaror,,💕
💔 Nakaam Zindagi ki mukamal Kitaab hun..💕
------------------------------- ðŸ‘³---------------------------------
💔 Unhen hum yaad nahi aate Fursat ke lamhat main,,💕
💔 Per ye bhi sach hai unhen Fursat nahi milti..💕
------------------------------- ðŸ‘±---------------------------------
💔 Fursat mile to beth ke sochna zaror ye,,!!💕
💔 Tum bhi mere apne ho ya hum hi sirf tumhare hain..💕
------------------------------- ðŸ‘³---------------------------------
💔 Wo parinda jise apni parwaaz se Fursat na thi,,💕
💔 Aaj meri taranh tanha hua to meri hi deewar pe aa betha..💕
------------------------------- ðŸ‘±---------------------------------
💔 Kabhi Fursat jo naseeb hon to chale aana merey pass,,💕
💔 Hain Adhore kitne hi maamley' meri zaat sey teri zaat tak..💕
------------------------------- ðŸ‘³---------------------------------
💔 Na koi hamara hum pareshan ache'Bewafaon ki mehfil sey be'zabaan ache,,💕
💔 Ager mili fursat to yaad kar lena hamen'Warna tum wahaan ache hum yahan ache..💕
------------------------------- ðŸ‘±---------------------------------
💔 Tujh ko Fursat mile to tujh sey poochun'Yaad bhi aate hein tujhe dost purane wale,,?
💔 Ik to hai tujhe bhool na paae hum'Warna Andaz to aate hein hamen bhi zamane wale..💕
------------------------------- ðŸ‘³---------------------------------
💔 Kabhi fursat mile itna zaror batana,,💕
💔 wo kon si Muhabbat thi jo ham tujhe na de sake..💕
------------------------------- ðŸ‘±---------------------------------
💔 Aesa nahi key usse Muhabbat nahi rahi,,💕
💔 Haan ye hua ke usse pehli si Fursat nahi..💕
------------------------------- ðŸ‘³---------------------------------
💔 Kabhi Fursat mile to parhna kitaab-e-Zindagi meri,,💕
💔 B💕arha dill'Chaasp Navel hai Dill Veeran ke unwaan per..💕
------------------------------- ðŸ‘±---------------------------------

Nayab Tanziya Shairy ( Nayaab Poetry )


💔 Mana ke tera Waqt Qeemti hai Mager !!💗

💔 Hum Bhi Nayaab hain tum ney hi kaha tha..💗
 ------------------------------- ðŸ‘³---------------------------------
💔 Mana ke Anmol ho' Qasrat Nayaab Ho,!!💗

💔 Hum bhi wo Log hai jo har Dheleez per nahi milte hain.💗
 ------------------------------- ðŸ‘± ---------------------------------
💔 Buhat Nayaab ho gae ho tum,,!!💗

💔 Ab Zakhmon per Namak Chirakne Nahi aati ho..💗
 ------------------------------- ðŸ‘³ ---------------------------------
Hamen Tum sa Na Tumhein hum sa'koi mile ga,!!💗

💔 Tum Anmol Therhe,Or Hum Nayaab..💗
 ------------------------------- ðŸ‘± ---------------------------------
Ache hain ya Bure hain Barhe Nayaab hain hum,,💗

💔 Koi Hum sa ager hai to zara Dhoondh ke Laao..💗
 ------------------------------- ðŸ‘³ ---------------------------------
💔 Mana Ke Buhat Qeemti hai Waqt tera,,!!💗

💔 Hum Bhi Nayaab hain baar baar nahi milen ge..💗
 ------------------------------- ðŸ‘± ---------------------------------
💔 Ab Kahan Ahle Wafa Milte hein,,!!💗

💔 Phelhe Hum log the Nayaab kahan...💗
 ------------------------------- ðŸ‘³ ---------------------------------
💔 Apni Arzaniyun ke Sadke Khud ko Nayaab Ho ke Dekhte hein,,!!💗
💔 Sahilon ki Nazer main aana hai,,Phir to Gharqaab Hoke dekhte hein,,💗
💔 Wo jo Payaab Keh raha tha Humen' Isko Selaab hoke dekhte hein,,...💗
 ------------------------------- ðŸ‘± ---------------------------------
💔 Mansoob Nayaab Us ke Qissey Orron sey bhi the Lekin,!!💗

💔 Wo baat buhat Pheli' Jo Baat chali Hum Sey,..💗
 ------------------------------- ðŸ‘³ ---------------------------------
💔 Aek si soch thi' Aek sey Khuwab the,,💗

💔 Tum bhi Be'misaal the' Hum bhi Nayaab the..💗
 ------------------------------- ðŸ‘± ---------------------------------
💔 Gum Apni Muhabbat mein dono" Nayaab ho tum Nayaab hain hum,,💗
💔 Kiya hum ko khuli Aankhen dekhen" Ik khuwaab ho tum ik Khuwaab hain hum,,💗
💔 Eik hans purana yadon ka betha huwa kanker chunta hai,,💗
💔 Tapti huwi Hijar ki Gharhiyun mein Sookha huwa ik Talaab hain hum💗
 ------------------------------- ðŸ‘³ ---------------------------------
💔 Sahil pe reh key hum ko rait hi mili,,💗

💔 Hum Doobte to Gohar'Nayaab Dekhte..💗
 ------------------------------- ðŸ‘± ---------------------------------
💔 Buhat Nayaab the hum,,💗

💔 Khaak mein mila diya tum ney.💗
 ------------------------------- ðŸ‘³ ---------------------------------
💔 Kuch to Hisaab karo hum sey Nayaab,,💗

💔 Itni wafain Udhar kon deta hai,,💗
 ------------------------------- ðŸ‘± ---------------------------------
Powered by Blogger.

Hi There, I am

Blogger templates

Popular Posts