Haar jeet Poetry tanziya


Teri Jeet sey ziyada to,,!!
Meri Haar mein Charcha hai..

Sikka Bana ke jab bhi uchala gaya mujhe,,
Mein teri haar jeet mein taqseem ho gya

Sulagti talakh baton sey'Barhe Bedard Hathon sey,,
Lo dekho Haar di tum ney Muhabbat' Maar di tum ney Muhabbat..

Haar jata hai jo Muhabbat mein,,
Dill Wohi kamiyaab hota ha..

Teri jeet se kushi mujh ko,,
Yehi jawab meri Haar ka thaa..

Basate Zaat pe Ajab hai' Shikast e Zaat ka lutf,,
Jahan per jeet atal ho'Wo chaal haar ke dekh..

Muhabbat Haar ke jeena buhat mushqil hota hai,,
Usse bas itna bata dena ke Bharam torha nahi karte..

Ager Dill Haar bethe ho Muhabbat mein mere Hamdam,,
Fana kesi ? Baqa kesi ? Saja kesi ? Jaza kesi..

Wo mera ho kar bhi mera na huwa,,
Koi meri taranh bhi jeet ke haara hoga

Ye Muhabbat aesa munfarid khel hai 
Jo seekh jata hai wo haar jata hai 

Tum sey ye keh kis ney diya ke baazi haar bethe hum,,
Muhabbat mein lotaney ko abhi jaan baaqi hai..

Jane wo kon sey log the jin ke piyar ko piyaar mila,,
Hum ney to jab kaliyaan maangi kaanton ka haar mila

Kuch haar gai taqdeer kuch haar gae sapney
kuch gheron ney kiya barbaad kuch apne chorh gae

Hum umer ka eik saal haar gae
Tum judai ka ik saal jeet gae

Meri chup ko meri haar na samjhna 
mein apne faisley khuda per chorti hun 

Apni har kushi tujh pe waar kar 
Tujhe jeet lon gi mein haar kar

Wajood apna na rooh apni bas ik zindagi hai tamasha hai
Ajab ye chahat ke marhale hain,,Na jeet pae na haar paae

Apne haar mein kitna sakoon tha
us shaks ney gale lagaya jeetne ke baad

Kiya zarori hai hum haar ke jeetein
Ishq ka khel hai baraber bhi to ho sakta hai 

0 comments:

Post a Comment

Powered by Blogger.

Hi There, I am

Blogger templates

Popular Posts