Aa Jao Na Poetry Compitition


Lo main Aakhon pe haath rakhti hun
Tum Aachanak kahin se aa jao na,.

Aa jao gi halat ki zad main kisi din
Ho jae ga maloom khuda hai ke nahi..

Ager hamari ulfat sey tang aao bata dena,,
Hamen nafrat to gawara hai per dikhawey ka piyaar nahi.,

Bharam rakh lo Muhabbat ka wafa ki shaan ban jaao..,,
Hamari jaan le lo ya hamari jaan ban jao,,..

Main ye nahi kehti hamara haal poocha karo,,
Tum khud kis haal main ho bas itna to bata to diya karo,,

Tum Loat Aao to ho jaein Mukammal
Tumhare bin aadhore reh gaye hain ham

Suno tum zidi ho na
Mujhe bhi zid bana lo na

Samait ke le jao apne aadhore wadon ke aadhore qisse
Agli Muhabbat mein phir tumhen in ki zarorat pare gi

Baaz aa jao berukhi se warna
hum jise bhool jate hein to bas bhool jate hein

Shikayaten bhi to sirf usse mere khaloos sey
Ajeeb shaks tha wo meri aadaten na samjh saka

Ishq tha koi qarobaar to na tha
Phir nuksaan huwa to huwa kese

Chahon to phir bhi na mita paaon tera naam dill sey
Mitae wo lafz jate hein jo galti sey likhe hon

Kisi ney dekhni hai qiyamat to aa jao
Suna hai mehfil mein aaj raat to benaqaab aane wale hain

Khud to aate nahi yadon ko bhi na aane diya karo,,
Mujhe sirf tum sey Muhabbat hai yaadon ko yaad sey bata dena

Aa jao na meri qismat main
Chahe rakh lo mera naseeb girvi

Hamesha ke liye apne paas rakh lo na mujhe
koi pooche to keh dena dill hai mera

Wabasta ho gai thi kuch umeedein apse
umeedon ka chiraag bhujhane ka shukriya

Ham ney tum sey maangi thi Muhabbat ki zindagi
Tum  ney to zindagi ko Muhabbat bana diya


0 comments:

Post a Comment

Powered by Blogger.

Hi There, I am

Blogger templates

Popular Posts