Likhna Tanziya Poetry Compitition


Likhna to tha ke kush hun
lekin aanson likhne sey pehle hi gir parhe

Likhna mere mazar pe ye huraf
Makhdoom zindagi ki kuwaish mein mar gaya

Tum apni majbooriyun ke qisse zaror likhna wasahaton se
Jo meri aakhon main jal buji hain wo kuwaishen bhi shumaar karna

Shair likhna mujhe kab aata hai
Dard cheekhen to aashk likhta hun

Kitna mushqil hai muhabbat ki kahani likhna
jese paani se paani pe paani likhna

Laakh kehte rahen zulmat ko zulmat na likhna
Hum ne seekhna hi nahi pyaar ba'ijazat likhna

Tumhari thi shararat mehndi se hatheli pe naam likhna
Or mujhe ruswa kar diya yun hi khelte khelte

Musalsal gham uthane se ye behter hai
Kinara kerne walon sey kinara kar liya jae

Munafqat ka nisaab pharh ker muhabbat ki kitaab likhna
Barha kathan hai khizaan ke mathe pe dastan e gulaab likhna

Ye lafzon ki shararat hai sanbhal kar kuch likhna tum
Muhabbat ik lafz hai lekin akser ye ho bhi jati hai

Alfaz gira dete hein jazbaat ki qeemat
jazbaat ko lafzon main na dala kare koi

Sajae rakhte hein chere pe kushi ki jo kiran,,
Najane rooh mein kitne shagaaf rakhte hein

Kisi betaab aarzoo ki taranh
Aap dharakte hein mere seene mein

Hasil e Zindagi hasraton ke siwa kuch nahi
ye kiya nahi,wo huwa nahi,ye mila nahi wo raha nahi

Jafa jo ishq main hoti hai wo jafa hi nahi,,
Sitam na ho to muhabbat mein koi maza hi nahi

Aey Khuda un ke har lamhe ki hifazat karna
Masoom sa chehra hai udaas ho acha nahi lagta

Bepanah,beqadar,behad,bebas ho ker,,
hum ne tumhen itna chaha ke inteha kar di

Muhabbat lafz hai janaa ye lafzon ki shararat hai
sanbhal ker kuch bhi likhna tum
Muhabbat lafz hai lekin ye akser ho bhi jati hai

Wafa ki laaj main us ko mila lete to acha tha
Anaa ki jang main akser Muhabbat jeet jati hai
Powered by Blogger.

Hi There, I am

Blogger templates

Popular Posts