Waqt Tanziya Poetry

Waqt bhi leta hai Karwaten kesi kesi,,,
Umer itni to nahi thi sabaq jitna seekh liya..

Nahi rehta koi shaks aadhora kisi cheez ke peeche,,
Waqt guzer hi jata hai kuch paa kar kuch khoo kar

Waqt Aane per log Saath kam,,
Or mashorey ziada dete hein..

Suna tha logon se ke waqt badalta hai akser
Mager log bhi badalte hein ye waqt ne bataya Aaj

Fitrat e Aadam main jab muhabbat kam parh jae
Phir chaa ke bhi apnon ke liye waqt nahi milta

Suno sahib
Waqt ki aik aadat boht achi hai
Jesa bhi ho guzar jata hai

Waqt ne mujh se mazrat ki hai
Mere sab se bare khasaare par

To gaya waqt nhi hai ke bhola don tujh ko
To mera haal hai or beet rha hai dil par

Jab tujhe meri chaah thi jana
Bas wohi waqt tha khaara mera

Guzar gaya wo waqt jab hum tumhre talabgar the
Ab zindagi bhi ban jao to hum kabool nhi karen ge

Tum jante ho waqt se nahi banti meri,,
Zid kis liye karte ho kaha na tum mere ho,.

Kuch or waqt chahte the ke sochen tere liye
To ney wo waqt ham ko azmane nahi diya..

Ae bure waqt zara adab se peesh aa
Waqt nahi lagta waqt badalney mein

Kabhi waqt mila to suljhaoon ga teri sab uljhaney
Abhi to khud uljha huwa hun waqt ko samjhney mein..

Udaas zindagi udaas waqt udaas shaam
kitni cheezon per ilzaam lag jata hai ik tere baad

Mana ke buhat qeemti hai waqt tera
Mager hum bhi nayaab hain baar baar nahi milte

Sab hi ache hai nayaab
Bas Khuda bura waqt na laae

Aik gharhi kiya khareed li main ne,,
waqt peeche hi parh giya mere

Tum the to kahin waqt teharta  hi nahi tha
Ab waqt guzerney mein bhi buhat waqt lagta hai..

Yoon Pehnka gaya hun burey waqt har shaks ke hathon,,
Phool pehnke jaate hein jese kushboo ke kam hone per...


Powered by Blogger.

Hi There, I am

Blogger templates

Popular Posts