Home / All post
Haar jeet Poetry tanziya
Teri Jeet sey ziyada to,,!!
Meri Haar mein Charcha hai..
Sikka Bana ke jab bhi uchala gaya mujhe,,
Mein teri haar jeet mein taqseem ho gya
Sulagti talakh baton sey'Barhe Bedard Hathon sey,,
Lo dekho Haar di tum ney Muhabbat' Maar di tum ney Muhabbat..
Haar jata hai jo Muhabbat mein,,
Dill Wohi kamiyaab hota ha..
Teri jeet se kushi mujh ko,,
Yehi jawab meri Haar ka thaa..
Basate Zaat pe Ajab hai' Shikast e Zaat ka lutf,,
Jahan per jeet atal ho'Wo chaal haar ke dekh..
Muhabbat Haar ke jeena buhat mushqil hota hai,,
Usse bas itna bata dena ke Bharam torha nahi karte..
Ager Dill Haar bethe ho Muhabbat mein mere Hamdam,,
Fana kesi ? Baqa kesi ? Saja kesi ? Jaza kesi..
Wo mera ho kar bhi mera na huwa,,
Koi meri taranh bhi jeet ke haara hoga
Ye Muhabbat aesa munfarid khel hai
Jo seekh jata hai wo haar jata hai
Tum sey ye keh kis ney diya ke baazi haar bethe hum,,
Muhabbat mein lotaney ko abhi jaan baaqi hai..
Jane wo kon sey log the jin ke piyar ko piyaar mila,,
Hum ney to jab kaliyaan maangi kaanton ka haar mila
Kuch haar gai taqdeer kuch haar gae sapney
kuch gheron ney kiya barbaad kuch apne chorh gae
Hum umer ka eik saal haar gae
Tum judai ka ik saal jeet gae
Meri chup ko meri haar na samjhna
mein apne faisley khuda per chorti hun
Apni har kushi tujh pe waar kar
Tujhe jeet lon gi mein haar kar
Wajood apna na rooh apni bas ik zindagi hai tamasha hai
Ajab ye chahat ke marhale hain,,Na jeet pae na haar paae
Apne haar mein kitna sakoon tha
us shaks ney gale lagaya jeetne ke baad
Kiya zarori hai hum haar ke jeetein
Ishq ka khel hai baraber bhi to ho sakta hai
Aa Jao Na Poetry Compitition
Lo main Aakhon pe haath rakhti hun
Tum Aachanak kahin se aa jao na,.
Aa jao gi halat ki zad main kisi din
Ho jae ga maloom khuda hai ke nahi..
Ager hamari ulfat sey tang aao bata dena,,
Hamen nafrat to gawara hai per dikhawey ka piyaar nahi.,
Bharam rakh lo Muhabbat ka wafa ki shaan ban jaao..,,
Hamari jaan le lo ya hamari jaan ban jao,,..
Main ye nahi kehti hamara haal poocha karo,,
Tum khud kis haal main ho bas itna to bata to diya karo,,
Tum Loat Aao to ho jaein Mukammal
Tumhare bin aadhore reh gaye hain ham
Suno tum zidi ho na
Mujhe bhi zid bana lo na
Samait ke le jao apne aadhore wadon ke aadhore qisse
Agli Muhabbat mein phir tumhen in ki zarorat pare gi
Baaz aa jao berukhi se warna
hum jise bhool jate hein to bas bhool jate hein
Shikayaten bhi to sirf usse mere khaloos sey
Ajeeb shaks tha wo meri aadaten na samjh saka
Ishq tha koi qarobaar to na tha
Phir nuksaan huwa to huwa kese
Chahon to phir bhi na mita paaon tera naam dill sey
Mitae wo lafz jate hein jo galti sey likhe hon
Kisi ney dekhni hai qiyamat to aa jao
Suna hai mehfil mein aaj raat to benaqaab aane wale hain
Khud to aate nahi yadon ko bhi na aane diya karo,,
Mujhe sirf tum sey Muhabbat hai yaadon ko yaad sey bata dena
Aa jao na meri qismat main
Chahe rakh lo mera naseeb girvi
Hamesha ke liye apne paas rakh lo na mujhe
koi pooche to keh dena dill hai mera
Wabasta ho gai thi kuch umeedein apse
umeedon ka chiraag bhujhane ka shukriya
Ham ney tum sey maangi thi Muhabbat ki zindagi
Tum ney to zindagi ko Muhabbat bana diya
Waja Tanziya Compitition
π Tumhare Yaad Karne Ki Waja Kiya Samjhon,,π
π Waqt ki Masroofiyat ya Dill ka bhar jana..π
------------------------------- π±---------------------------------
π Yehi to Waja shikast e wafa hui meri,,π
π Khaloos e Ishq main sada dill ki Aameezh.π
------------------------------ π³ ---------------------------------
π Chup ho kis Waja se Hamen Maloom Nahi,,π
π Dill Doob sa jata hai jab tum yaad nahi karte..π
-------------------------------π±---------------------------------
π Kat hi gai judaai bhi kab ye hua ke mar gae,,π
π Tere bhi Din Guzar gae mere bhi din guzer gae..π
-------------------------------π³---------------------------------
π Taqdeer Badal jae gi apne ap hi,,π
π Muskarana Seekh le Waja Talaash na kar..π
------------------------------- π±---------------------------------
π Tere Taghaful ki Waja hum nahi jante mager!!π
π Zindagi do pal mili hai tere sath jeene ki tamanna ha..π
------------------------------- π³---------------------------------
π Nazer Andaz karne ki waja kuch to batate,,π
π Ab kahan kahan khud main burai dhodon..π
------------------------------- π±---------------------------------
π Bewaja BeNaam aarzoo ki waja na poochiyen,,π
π Eik ajnabi tha rooh ka dard ban gya..π
------------------------------- π³---------------------------------
π Ajeeb sa rishta raha kuch us shaks se,,π
π Na nafrat ki waja mili na Muhabbat ka sabab mila..π
------------------------------- π±---------------------------------
π Be'tahasha chahne wale,,π
π Bewaja chorh gae..π
------------------------------- π³---------------------------------
π Wo barhi herani se pooch betha mere gham ki waja,,π
π Pehlhe Halka sa muskaraya phir kaha Muhabbat ki thi na mujh sey..π
------------------------------- π±---------------------------------
π Aag lag jae un Majbooriyun ko,,π
π Jin ki waja se hum door huweπ
------------------------------- π³---------------------------------
π Be'waja Be'Khabar Berukhi na kiya kar,,π
π Koi toot sa jata hai tera lehja badalte dekh ker..π
------------------------------- π±---------------------------------
π Be'waja nahi rota koi Ishq main nayab,,π
π Jise khud sey barh kar chaho wo rulata zaror hai..π
------------------------------- π³---------------------------------
π Kisi ka ziker karne ki koi waja nahi hoti..π
π Jo dill raas hote hein zaban ko rakhss karte hein..π
------------------------------- π±---------------------------------
π Chalo dhonte hain aesi waja jo dill behal jae,,π
π Ager phir bhi na sanbhal paae to kiya tum loat aao ge..π
------------------------------- π³---------------------------------
π Waja pooocho ge to umar beet jae gi,,π
π Kaha na zehar lagte ho to bas lagte ho..π
------------------------------- π±---------------------------------
π Rooh main koi gham haie poshida,,π
π Zindagi bewaja udas nahi hoti hai..π
------------------------------- π±---------------------------------
Fursat Poetry Tanziya Shairiy Compitition
π Usse Fursat nahi milti zara sa yaad karne ki,,π
π Usse keh do ham uski yaad mein fursat sey bethe hein..π
------------------------------- π³---------------------------------
π Be'khaber ho meri yaad sey zara soocho to sahi,,π
π Ta'luq Fursat key nahi Tawajh ke Mohtaaj hote hein..π
------------------------------- π±---------------------------------
π Mile Uljhanon sey Fursat to zara Dill sey pooch lena,,π
π Kiya Fursaton mein hi yaad karna Muhabbat hai..π
------------------------------- π³---------------------------------
π Unhen ham yaad aate hein Fursat ke lamhaat mein,π
π per ye bhi sach hai' Unhen Fursat nahi milti..π
------------------------------- π±---------------------------------
π Fursat Qaleel or kahani Taweel hai,,π
π Shikwe to hain Hazar mager jane dijiyen..π
------------------------------- π³---------------------------------
π Hujam-e-Yaraan sey kabhi Fursat mile Nayaab,,π
π Ager samjho munasib to hamen yaad kar lena..π
------------------------------- π±---------------------------------
π Fursat main yaad karna ho to kabhi nahi karna,,π
π Tanha zaror hun mager Fazool nahi..π
------------------------------- π³---------------------------------
π Nahi Fursat yaqeen jaano hamen kuch or karne ki,,π
π Teri yaadein teri batein buhat masrooof rakhti hain..π
------------------------------- π±---------------------------------
π Kisi ke ishq main itna magan hun,,π
π Mujhe marne ki bhi fursat nahi..π
------------------------------- π³---------------------------------
π Mujh ko Fursat nahi milti khud apne ap sey,,π
π Roothne walon se kaho mujhe yaad kam aaya karen.π
------------------------------- π±---------------------------------
π Fursat mile to un ka haal pooch liya karo,,π
π Jin ke seene main dill nahi tum Dharakte ho..π
------------------------------- π³---------------------------------
π Aaj jawaab bhi dene ki Fursat nahi,,π
π Kabhi salam sey pehley Salam kiya karte the..π
------------------------------- π±---------------------------------
π Fursat mile to Parhna mujhe zaror,,π
π Nakaam Zindagi ki mukamal Kitaab hun..π
------------------------------- π³---------------------------------
π Unhen hum yaad nahi aate Fursat ke lamhat main,,π
π Per ye bhi sach hai unhen Fursat nahi milti..π
------------------------------- π±---------------------------------
π Fursat mile to beth ke sochna zaror ye,,!!π
π Tum bhi mere apne ho ya hum hi sirf tumhare hain..π
------------------------------- π³---------------------------------
π Wo parinda jise apni parwaaz se Fursat na thi,,π
π Aaj meri taranh tanha hua to meri hi deewar pe aa betha..π
------------------------------- π±---------------------------------
π Kabhi Fursat jo naseeb hon to chale aana merey pass,,π
π Hain Adhore kitne hi maamley' meri zaat sey teri zaat tak..π
------------------------------- π³---------------------------------
π Na koi hamara hum pareshan ache'Bewafaon ki mehfil sey be'zabaan ache,,π
π Ager mili fursat to yaad kar lena hamen'Warna tum wahaan ache hum yahan ache..π
------------------------------- π±---------------------------------
π Tujh ko Fursat mile to tujh sey poochun'Yaad bhi aate hein tujhe dost purane wale,,?
π Ik to hai tujhe bhool na paae hum'Warna Andaz to aate hein hamen bhi zamane wale..π
------------------------------- π³---------------------------------
π Kabhi fursat mile itna zaror batana,,π
π wo kon si Muhabbat thi jo ham tujhe na de sake..π
------------------------------- π±---------------------------------
π Aesa nahi key usse Muhabbat nahi rahi,,π
π Haan ye hua ke usse pehli si Fursat nahi..π
------------------------------- π³---------------------------------
π Kabhi Fursat mile to parhna kitaab-e-Zindagi meri,,π
π Bπarha dill'Chaasp Navel hai Dill Veeran ke unwaan per..π
------------------------------- π±---------------------------------
Nayab Tanziya Shairy ( Nayaab Poetry )
π Mana ke tera Waqt Qeemti hai Mager !!π
π Hum Bhi Nayaab hain tum ney hi kaha tha..π
------------------------------- π³---------------------------------
π Mana ke Anmol ho' Qasrat Nayaab Ho,!!π
π Hum bhi wo Log hai jo har Dheleez per nahi milte hain.π
------------------------------- π± ---------------------------------
π Buhat Nayaab ho gae ho tum,,!!π
π Ab Zakhmon per Namak Chirakne Nahi aati ho..π
------------------------------- π³ ---------------------------------
Hamen Tum sa Na Tumhein hum sa'koi mile ga,!!π
π Tum Anmol Therhe,Or Hum Nayaab..π
------------------------------- π± ---------------------------------
Ache hain ya Bure hain Barhe Nayaab hain hum,,π
π Koi Hum sa ager hai to zara Dhoondh ke Laao..π
------------------------------- π³ ---------------------------------
π Mana Ke Buhat Qeemti hai Waqt tera,,!!π
π Hum Bhi Nayaab hain baar baar nahi milen ge..π
------------------------------- π± ---------------------------------
π Ab Kahan Ahle Wafa Milte hein,,!!π
π Phelhe Hum log the Nayaab kahan...π
------------------------------- π³ ---------------------------------
π Apni Arzaniyun ke Sadke Khud ko Nayaab Ho ke Dekhte hein,,!!π
π Sahilon ki Nazer main aana hai,,Phir to Gharqaab Hoke dekhte hein,,π
π Wo jo Payaab Keh raha tha Humen' Isko Selaab hoke dekhte hein,,...π
------------------------------- π± ---------------------------------
π Mansoob Nayaab Us ke Qissey Orron sey bhi the Lekin,!!π
π Wo baat buhat Pheli' Jo Baat chali Hum Sey,..π
------------------------------- π³ ---------------------------------
π Aek si soch thi' Aek sey Khuwab the,,π
π Tum bhi Be'misaal the' Hum bhi Nayaab the..π
------------------------------- π± ---------------------------------
π Gum Apni Muhabbat mein dono" Nayaab ho tum Nayaab hain hum,,π
π Kiya hum ko khuli Aankhen dekhen" Ik khuwaab ho tum ik Khuwaab hain hum,,π
π Eik hans purana yadon ka betha huwa kanker chunta hai,,π
π Tapti huwi Hijar ki Gharhiyun mein Sookha huwa ik Talaab hain humπ
------------------------------- π³ ---------------------------------
π Sahil pe reh key hum ko rait hi mili,,π
π Hum Doobte to Gohar'Nayaab Dekhte..π
------------------------------- π± ---------------------------------
π Buhat Nayaab the hum,,π
π Khaak mein mila diya tum ney.π
------------------------------- π³ ---------------------------------
π Kuch to Hisaab karo hum sey Nayaab,,π
π Itni wafain Udhar kon deta hai,,π
------------------------------- π± ---------------------------------
Muhabbat Poetry Tanziya Compitition
π Muhabbat Kar Ke Dekhi Hai Muhabbat Saaf Dokha Hai,,π
π Ye Sab Kehne Ki Baten hai Phir Kon Kisi ka Hota hai...π
π Muhabbat Mein Aadawat kesi' Chahna kisi ko To Shikayat
kesi,,π
π Ager Tumhara Mujh Pe Aetbaar Hei Itna To zara si is baat pe
Wazahat kesi.π
π Tum ko Chaha to Muhabbat ki samajh aai,,π
π Warna is lafz ki Tareef suna karte the..π
π Maanga Hi nahi mein ne apni Chahaton ka sila tujh sey.,π
π Ke Shayed Inkaar ki bhi fursat na ho tere pas,...π
π Kesi hoti hai Muhabbat,,π
π Khabhi mile to mujhe bhi Milwa Dena,.π
π Khabhi Bhoole se Bhi nahi rakhna Muhabbat ke jungle mein
qadam,,π
π Yahan Saanp Nahi Insaan Dassa Karte Hein..π
π Itni Muhabbat Dun ke aakhir ho jae to mera,,π
π Phir Zamane ko tere liye Tarapta dekhon..π
π Zarori To nahi Muhabbat Lafzon Mein Biyaan Ho,,π
π Kiya Sach mein meri Aankhen Tumhen kuch nahi kehtin.π
π Mein Muhabbat mein us Maqaam per hun,,π
π Jahan meri zaat mein teri zaat Musalsal..π
π Mera Tarz e Muhabbat hai na Deewana Pan Mera,,π
π Mein Khud Heraan Hun Tujh sey Itni Muhabbat Kyun.π.
π Tum meri pheli Muhabbat to nahi ho lekin,,!!π
π Mein ney chaha hai tumhen Pehli Muhabbat ki Taranh..π
π Kitni Mehdood si hai Duniya Meri,,,π
π Ik mein hun or ik Muhabbat teri..π
π Muhabbat Izhaar Chahti hai,,π
π Or Baar Baar Chahti hai..π
π Ho Jao Ke Hamare Ke itni Muhabbat dein ge Tumhen,,π
π Log Tarsein ge tumhare jesa Naseeb paane ke liye..π
π Muhabbat kisi aese Shaks ki Talash nahi' Jis ke sath raha
jaae,,π
π Muhabbat to aese shaks ki Talash hai Jis ke Bagair naa raha
jae..
π Aankhon sey Shoro ho kar kahani ulfat tak ja punhchi,,π
π Jab hum ko hosh aaya to Muhabbat tak ja Punhchi..π
π Muhabbat ker ke dekhi hai Muhabbat Buhat Khoobsoorat hai,π
π Mill Jae to Jannat" Bicharh Jae To Aziyat hai..π
π Tum Kiya Jaano Muhabbat Ke "Meem" Ka Matlabπ
π Mill Jae To "Moujza" Na Mile To "Moat"π
π Muhabbat Baqi Rehne per Yaqeen kitna tha dono ka,!!
π Yahan har Cheez Faani Hai Na Tum Samjhe Na Dill Samjha..π
π Aa gai na Tumhen Phir Neend,,!!
π Ajeeb Shaks ho Muhabbat bhi karte ho or Neend bhi..π
π Muhabbat Kar sakte ho to KHUDA sey karo Dilba,,π
π Mitti ke Khilono se khabhi Wafa nahi milti..π
Qadar Poetry Compitition "Kadar shairy"
π Is Duniya mein Wafa karne walon ki kami nahi,,π
π Bas Piyaar hi ussi se ho jata hai"Jise Kadar Na Ho..π
------------------------------- π³ ---------------------------------
π Haan Sach Hai Hum Ney Teri Kadar Ki,,π
π Mager To Is Tawajha Ke Qabil Na Tha..π
------------------------------- π±π± ---------------------------------
π Tujhe Muft Mein Jo Mill Gae Hein Hum,,π
π To Kadar Na kare Ye Tera Haq Banta hai...π
------------------------------- π³ ---------------------------------
π Be'panah, Be'kadar, Be'had, Be'bas ho ker,,π
π Hum Ney Tumhen Itna Chaha Ke Inteha Kar di..π
------------------------------- π±π± ---------------------------------
π Jese Phir Kabhi Hona Hi Nahi,,π
π Dard Jab Bhi Huwa is Kadar Howa...π
------------------------------- π³ ---------------------------------
π Kabhi Kabhi Ki Mulaqaat Hi Achi hai,,,π
π Kadar Kho Deta Hai Roz Ka Aana,Jana..π
------------------------------- π±π± ---------------------------------
π Jis Kadar Muhabbat Ka Asar Hota Gaya.,,π
π Ishq Khud Tarq e Talab se Be'khaber Hota Gaya..π
------------------------------- π³ ---------------------------------
π Us ke Cherhe Pe is Qadar Noor Tha Ke uski yaad mein rona Manzoor tha,,π
π Bewafa Bhi Nahi Keh Sakte Usko, Piyaar to hum ne kiya hai wo Be'qasoor tha..π
------------------------------- π±π± ---------------------------------
π Meri Kushi Ke Lamhe Mukhtasir Hain is Kadar,,π
π Guzer Jate hein Mere Muskarane Sey Phelhe..π
------------------------------- π±π± ---------------------------------
π Ache Hein Is Kadar Ke Bhulae Nahi Jateπ
π Kuch Log Dharkano mein Dharakte hein Umer Bhar..π
------------------------------- π³ ---------------------------------
π Ajeeb Zulam Hai Duniya mein Muhabbat per,,π
π Jihen Hum Mile Unhen Kadar Nahi !!π
π Jihen Kadar thi Unhen Hum Mile Nahi..π
------------------------------- π±π± ---------------------------------
π Jise had se ziyada Piyaar karo wo Piyaar ki Qadar nahi karta..π
π Jise Qadar hai Usse Koi Piyaar Nahi karta..π
------------------------------- π³ ---------------------------------
π Jis kadar jis ki Kadar ki ham ne,,π
π Us kadar Be'qadar huwe hum..π
------------------------------- π±π±---------------------------------
π Kis Qadar Aag Barasti Hai Yahan,π
π Khalq Shabnam ko Tarasti hai Yahan..π
------------------------------- π³ ---------------------------------
π Jis kadar Toot ke Chahte hain ham Tumhen,,π
π Be'rukhi ki had mein tum itna hi Kamal rakhte ho..π
------------------------------- π±π± ---------------------------------
π Chale jain ge An'qareeb Tujhe tere haal pe chorh ker,,π
π Qadar kiya hoti hai ye tujhe waqt hi seekha de ga..π
------------------------------- π³ ---------------------------------
π Kis Qadar tujh ko Chahte hein Khabhi itna to Soch,,π
π Warna hum wo khud garz hain jinhen apni zindagi se bhi piyar nahi..π
------------------------------- π±π± ---------------------------------
π Umeeden Is Qadar Tootin Ke,,,!!π
π Ab Peida nahi hotin..π
------------------------------- π³ ---------------------------------
Poetry Compitition Anyone here..!!
Subscribe to:
Posts
(
Atom
)
Blog Archive
Powered by Blogger.
Labels
Hi There, I am
About Me
Blogger templates
Popular Posts
-
Teri Jeet sey ziyada to,,!! Meri Haar mein Charcha hai.. Sikka Bana ke jab bhi uchala gaya mujhe,, Mein teri haar jeet mein taqseem h...
-
π Usse Fursat nahi milti zara sa yaad karne ki,,π π Usse keh do ham uski yaad mein fursat sey bethe hein..π -----------------...
-
Waqt bhi leta hai Karwaten kesi kesi,,, Umer itni to nahi thi sabaq jitna seekh liya.. Nahi rehta koi shaks aadhora kisi cheez ke peeche,...
-
π Mana ke tera Waqt Qeemti hai Mager !! π π Hum Bhi Nayaab hain tum ney hi kaha tha.. π ------------------------------- π³ -----...
-
π Muhabbat Kar Ke Dekhi Hai Muhabbat Saaf Dokha Hai,, π π Ye Sab Kehne Ki Baten hai Phir Kon Kisi ka Hota hai... π --------...
-
Likhna to tha ke kush hun lekin aanson likhne sey pehle hi gir parhe Likhna mere mazar pe ye huraf Makhdoom zindagi ki kuwaish mein m...
-
π Tumhare Yaad Karne Ki Waja Kiya Samjhon,, π π Waqt ki Masroofiyat ya Dill ka bhar jana.. π ------------------------------- π±-...
-
Lo main Aakhon pe haath rakhti hun Tum Aachanak kahin se aa jao na,. Aa jao gi halat ki zad main kisi din Ho jae ga maloom khuda hai k...
-
π Ye bhi acha huwa ke Shayed Ke ussey Paa na sake,,, π π Hamare hoke ke agar Bicharhta'' To Qayamat Hoti..... π -------------...
-
π Is Duniya mein Wafa karne walon ki kami nahi,,π π Bas Piyaar hi ussi se ho jata hai"Jise Kadar Na Ho..π -------------------...